Ek ghazal
Na usne kabhi rukne ka armaan dikhaya,
Main khud bhi to uske kadmon mein ruk na paaya.
Woh lamha tha kuch aur, woh baat kuch aur thi,
Na usne kaha, na main keh paaya.
Har ek mulaqat mein thi khamoshi ki sada,
Na usne suna, na main kuch samjha paaya.
Pyaar to wo bhi karti thi dil se magar,
Kismat ko humara milna manzoor na paaya.
Main jeeta raha bas uske khayalon mein gum,
Na woh bhooli kabhi, na main bhula paaya.
Mar bhi jaaun to kya, uska zikr rahega zubaan pe,
Ye ishq hai, jo maut se bhi na mit paaya.
Dil mein chhupi thi ek adhoori si dastaan,
Na usne likhi, na main suna paaya.
Usi ke liye har ek din mein khud ko dhoondh paaya,
Na aayi kabhi, na main use bhula paaya.
"Rahul" kehta hai, mohabbat thi meri khataa sahi,
Magar uske bina jeene ka hunar
na paaya.
-Rahul

Comments
Post a Comment